chorus :
gaya farishton ne geet suhana
dharti par hua yeshu ka ana
sab ne paya khushion ka khazana
mukti paye papon se zamana
jhoomay sara jahan ,
gaye yeh asma
gaati hai har zuban
yeshu ki mahima
1 verse :
emmanuel khuda hamaray sath hai
us ki rehmat ka hum par hath hai
muhobat yeh hai sab se mahan
aya hai ban kar khuda insan
zamin par aya chod ke sanam
hua hai paida yeshu mahan
2 verse :
zindagi dene vo gunahgar ko
swarg se aya hai ban kar pyar vo
chadhayen kya bhaint us ko
koi daulat na mangay vo
karen arpan yeh dil us ko
vo hai sab ka pasbaan